Life Shayari, zindagi shayari sad - Latest India Job

We find Best govt. job for u

Wednesday, 4 October 2017

Life Shayari, zindagi shayari sad

Alltechtoindia

Life Shayari

 



Darr Mujhe Bhi Laga Faasla Dekh Kar,
Per Main Badhta Gaya Raasta Dekh Kar,
Khud Ba Khud Mere Nazdeek Aati Gayi,
Meri Manzil Mera Haunsla Dekh Kar ….

न सो सका हूँ न शब जाग कर गुज़ारी है
अजीब दिन हैं सुकूँ है न बे-क़रारी है
~ ज़ुहूर नज़र

Zamaane Ka Bhaar Zara Dil Se Utaar Le,
Nanhi Si To Life Hai Yaar, Hans Ke Gujaar Le …

Log Doobtey Hain Toh Dariya Ko Dosh Detey Hain,
Manzil Na Mile Toh Raaston Ko Dosh Detey Hain,
Khud Toh Sambhal Kar Chaltey Nahi,
Jab Thokar Lagti Hai Toh Patthar Ko Dosh Detey Hain.

किसी दिन ज़िंदगानी में करिश्मा क्यूं नहीं होता,
मैं हर दिन जाग तो जाता हूं ज़िन्दा क्यूं नहीं होता।
– Rajesh Reddy
 
 
Sath Na Rehne Se Rishte Toota Nahin Kartey
Waqt Ki Dhoondh Se Lamhein Chhuta Nahin Kartey
Log Kehte Hain Ki Mera Sapna Toot Gaya
Toot-ti Neend Hai Sapne Toota Nahi Kartey …
 
 

ज़रा सी चोट लगी, कि चलना भूल गए,
शरीफ लोग थे, घर से निकलना भूल गए,
तमाम शहर में घूमे किसी ने नहीं पहचाना,
हम एक रोज़ जो चेहरा बदलना भूल गए!


 
 
Sad Shayari on life – The life is full of sorrow and there is nothing easy to get in life. There is a hidden but certain sadness in everybody’s life which makes feel so bad that sometime you just want to hide yourself somewhere. When you want to happy, life makes you sad, suddenly. There is a great bond between sadness and life. Then, these are the words of Shayari which brings the ray of hope in darkness of sad life. We at Shayari Network always try to craft the words which can calm down a restless soul living this heartbreaking life.

आँसू निकल पड़े…
इतना तो ज़िंदगी में, न किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून, न रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने, जो की लुत्फ़ की निगाह,
जी खुश तो हो गया, मगर आँसू निकल पड़े।

इस मोहब्बत की किताब के,
बस दो ही सबक याद हुए,
कुछ तुम जैसे आबाद हुए,
कुछ हम जैसे बरबाद हुए।

तेरी आँखों में सच्चाई की एक राह दिखाई देती है,
तू है मोहब्बत का दीवाना ऐसी चाह दिखाई देती है,
माना कि ठोकर खाई है जमाने में बेवफाओं से,
पर तू आशिक है तुझमें मोहब्बत की चाह दिखाई देती है।

तुम अगर याद रखोगे तो इनायत होगी,
वरना हमको कहाँ तुम से शिकायत होगी,
ये तो बेवफा लोगों की दुनिया है,
तुम अगर भूल भी जाओ तो रिवायत होगी।

तेरे शहर में आ कर बेनाम से हो गए,
तेरी चाहत में अपनी मुस्कान ही खो गए,
जो डूबे तेरी मोहब्बत में तो ऐसे डूबे,
कि जैसे तेरी आशिक़ी के गुलाम ही हो गए।
 
 
 
 
 
Mannato, Murado Ya Naseebo Se Milte Hai Lakhte Jigar
Phir Kyon Budhaape Mein Sataate Hain Lakhte Jigar
Jinki Khushi Key Liye Khoon Pasina Bahaya Har Din
Phir Kyon Budhaape Mein Khoon Key Aansoo Rulate Hain Lakhtey Jigar
Jinki Ek Aah Bhar Se Kaleja Phatt Jata Tha Arif
Phir Kyon Budhaape Mein Kaleja Phaad Dete Hain Lakhte Jigar …
– Mohd.Arif “Cheeta
 

Tanhaiyon Ke Saaye Mein Chain Kahaan
Aankh Khul Jaye To Fir Khwab Kahaan
Jee Jalaate Hain Subah Ke Thande Jhonke
Kho Gye Mohabbat Ke Voh Nazaare Kahaan
Ishq Ik Mushqil Imtehaan Tha Pehle
Ab Mohabbat Ke Voh Aadab Kahaan
Ab Kahaan Wafa Karne Wale Milte Hain
Us Pak Zamaane Jaise Insaan Kahaan
Ab To Khud Ki Dhadkan Se Bhi Darta Hai Dil
Ab Is Dil Mein Dilbar Ka Ghar Kahaan
Duniya Sunsaan Hai Kisi Registaan Ki Trah
Pehle Wali Voh Mehfilein Haseen Kahaan…



शायरी नेटवर्क पेश करते हैं एक महान शायर जावेद अख़्तर साहब द्वारा लिखी ग़ज़ल इस ज़िन्दगी के नाम, कृपा अपने विचार और कमेंट जरूर साँझे कीजिये।
Shayari Network presents a great Ghazal written by a great Indian poet Javed Akhtar Sahab upon the life, please share your thoughts and comment.
Ghazal…
Bahana Dhundhte Rehte Hain Koi Rone Ka,
Humein Yeh Shauq Hai Kya Aasteen Bhigone Ka
Agar Palak Per Hai Moti To Ye Nhi Kaafi
Hunar Bhi Chahiye Alfaaz Mein Pirone Ka
Jo Fasal Khwab Ki Taiyaar Hai To Yeh Jaano
Ki Waqt Aa Gya Fir Dard Koi Bone Ka
Yeh Zindagi Bhi Ajab Karobaar Hai
Ki Mujhe Khushi Hai Paane Ki Koi Na Ranj Khone Ka
Hai Chaknachoor Magar Fir Bhi Muskurata Hai
Voh Chehra Jaise Ho Toote Huye Khiline Ka…
– Javed Akhtar

Hindi Script
बहाना ढूँढ़ते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीन भिगोने का
अगर पलक पर है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का
जो फ़सल ख्वाब की तैयार है तो ये जानो
की वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का
ये ज़िन्दगी भी अजब कारोबार है
की मुझे ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का
है चकनाचूर मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का



Wo Andhere Mein Milna, Milkar Ek Hona,
Hote Hi Bhor, Mach Jata Hai Shor,
Tu Kon, Mein Kon, Pehchaan Bikhar Jaaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
Girate Parde, Uthati Bhukh, Sab Kuch Bhula Hai Deti,
Kon Mera, Kaisa Rishta, Kiski Kon Hai Beti,
Samajh Ki Chaadar Pe Chhinte, Daagdaar Lgaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
Channd Nivale Roti Ko,Channd Sikko Ki Khanak,
Bechh Aate Apni Chandni, Aati Na Zra Lahnatt,
Dekar Bharosa Khushiyu Ka, Phool Ujaado Mein Khilaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
Angaare Aankho Mein Lekar, Boli Khoob Lgata,
Leero-Leer Ko Haath Mle, Poshak Mandir Mein Chadhaata,
Ghar Ki Pari Noch Hai Daali, Aur Devi Rha Mannaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
Pyaar Apni Maa Se Ho, Kadar Apni Behan Ki,
Jise Praya Noor Hai Smjhe, Rakh Uspe Bhi Nazar Yhi,
Garr Pawan Kokh Naa Hoti, To Konsa Awtaar Hai Aaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
Jagatjanani Ya Ho Lakshmi, Kahi Aur Naa Baithi Hai,
Aangan Jis Se Roshan Tera, Inhi Mein Wo Roshni Rehti Hai,
Bacha Lega Aane Wala Kal, Jo Baat Samajh Mein Yeh Aaye,
Yhi Hai Pyar, Sacche Sanskaar, Jo Haiwan Se Insan Bnaye.
Wo Andhere Mein Milna, Milkar Ek Hona,
Futate Hi Bhor, Mach Jata Hai Shor,
Tu Kon, Mein Kon, Pehchaan Bikhar Jaaye,
Yeh Kaisa Pyar, Bna Vyapaar, Meri Samajh Na Aaye.
– Charanjeet Singh

Shayari on Life – This category contains the shayari on various aspects of life including dard, happiness, social and lots of other shayaris on life.

mkmanish
 


 

No comments: